Kehte hain yeh waqt rukta nahi kisi ki liye,
Saanson ke shuru hote hi aur saanson ke rukte tak,
Chalta hain ye jeevan apni gati se,
Bahut modh aate hain iss jeevan ke pahiye par,
Samay kaa haath thaam kar yuhin sang tu chal,
Mil jaati hain manzil yuhin hausla rakh kar,
Ki saamne khadi hain manzil teri,
Bas samajh naa paa raha hain tu use,
Apni aankh nahi, dil ke darwaaze ko khol,
Disha dikhaayega ye dil tujhe,
Aisa apne aap se bol.
Mann karta hain hawaa mein kaash udh sakta main,
Yuhin udte panchiyon ki tarah neele gagan ke neeche,
Behte neele paani ki tarah beh jaata khwaabon ko sahej ke,
Gum ho jaata inn hawaaon mein kahin,
Khwaabon ko par lagaake,
Yuhin udh jaaoon main door kahin sabse.

No comments:
Post a Comment